WAQT ....
kuch waqt tu lag hi jata hai
tarjeehat kay badalnay mein
naey saanchoun mein dhalnay mein
talatum say nibatnay mein
kuch waqt tu lag hi jata hai
naumeedi kay bhanwar say nikalnay mein
qurbatoun kay firaq mein badalnay mein
roox mil kay bhi kabhee na milnay mein
kuch waqt tu lag hi jata hai
khwahishoun ki aag mein jalnay mein
narasai ki raah per pa bajoolan chalnay mein
aadi kuhd ko naqadrioun ka karnay mein
kuch waqt tu lag hi jata hai
judaai ki rut kay cha janay mein
faasloun kay mausum kay aanay mein
bayqarar is dil ko samjhanay mein
kuch waqt tu lag hi jata hai
taqdeer ka naam lay kay khud ko bahlanay mein
hasratoun bhari daastan ko duhraanay mein
ho kay bhi kisi ka us ka na kahlaanay mein
kuch waqt tu lag hi jata hai
qasam tarq-e-taa'luq ki nibhaanay mein
na tarasheeda rawiyoun ko sanwarnay mein
wafa ki or jafa ki shiddatoun ko aaxmanay mein
kuch waqt tu lag hi jata hai
kuch waqt tu lag hi jata hai
~IQRA~