18 October 2005

Dasht-e-tanhai mein aey jaan-e-jahan larxaan hain
Teri awaax kay saaey, teray hontoun kay saraab

Dasht-e-tanhai mein doori kay khas o’ khaak talay
Khil rahay hain teray pahlo kay saman or gulaab
Dasht-e-tanhai mein aey jaan-e-jahan larxaan hain
Teri awaax kay saaey, teray hontoun kay saraab

Uth rahi hai kahien qurbat say teri saans ki aanch
Apni khushboo mein sulagti hoi mudham mudham
Duur ufaq paar utarti hoi qatra qatra
Gir rahi hai teri dildaar ki shabnam

Dasht-e-tanhai mein aey jaan-e-jahan larxaan hain
Teri awaax kay saaey, teray hontoun kay saraab

Is qadar piyaar say, aey jaan-e-jahan rakha hai
Dil kay rukhsaar pay is waqt teri yaad nay hath
Youn guman hota hai garchay hai abhi subh-e-firaaq
Dhal gaya hijr ka din, aa bhi gi wasl ki raat

Dasht-e-tanhai mein aey jaan-e-jahan larxaan hain
Teri awaax kay saaey, teray hontoun kay saraab
~ Faiz Sahib ~

No comments: